Hawa kay hathon ki meherbani say dar gaaye hain


Hawa kay hathon ki mehrbani se dar gaaye hain
 Yeh phool khushbuu ki raye gain se dar gaaye hain

 Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi 
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain

 Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain 
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain 

 Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi 
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain 

Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain 
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain 

Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein 
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain 

 Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se 
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain

No comments:

Post a Comment